Thursday, July 21, 2011

"AIY KAASH! MAIN MITTI HOTA" (QAYAMAT KI HOLNAKIYAN)

Bismillahirrahmanirraheem




qayamat ka din kuffar wa faasikon ke liye shakht hasrat aur pachtawe ka din hoga, insan hasrat ke saath apni nakaami par aansu bahaayega, haathon ko chabaayega, sar peetega, apni aql ka maatam karega, chikhega chillayega ki meri jagah meri biwi ko jahannum me le jaao, mujhe chhod do, mere bacchon ko le jaao mujhe chhod do, mere maa baap ko le jaao mujhe chhod do, mere kumbe kabeele ko le jaao mujhe chhod do, mujhe chhod do yahan tak ki saari duniya ki duhaayi dega ki saari duniya ke logon ko jahannum me daal do lekin mujhe chhod do, maut ko aawaaz dega, dobara zindagi maangega apni galtiyon ko maane ga, allah aur uske rasool ka farmabardaar bankar rahne ka yaqeen dilaayega, nek wa momin bankar rahne ka waada karega, lekin yah rona dhona uske kisi kaam nahi aayega, qur'an majeed me qayamat ke din insaan ki in hasraton aur pachtaawo ka allah taala ne jagah jagah zikr kiya hai

Kuch ka tarjuma kuch is tarah hai:-


" kaash! Mera aamaal nama mujhe na diya jaata, main jaanta tha mera hisaab kya hai, kaash! Duniya ki maut hi aakhiri hoti"

(surah haqqa 25-27)


" kaash! Roze jaza bahut door hota"

(al e imaran 30)


"kaash! Zameen fat jaaye aur main usme sama jaaun"


(surah nisa 42)


" kaash! Meri aulaad, meri biwi, mera bhai, mera khaandaan aur duniya ke saare log pakad liye jaayen aur main riha ho jaaun"

(surah muarij 11-14)


" ham apne gunahon ka aitraaf karte hain ab yahan se koi nikalne ka raasta hai?"


(surah momin 11)


"kaash! Allah taala hamare azaab me ek din ki hi kami kar de"


(sura momin 49)


" us din zaalim(hasrat aur pachtawe ki wajah se) apne haathon ko chabaayega"


( al furqan 27)


" aiy kaash main mitti hota"

(surah naba 40)


" haay afsos! Qayamat ke maamle me hamse shakt ghalti hui"

( surah anaam 31)


" aap(sws) ka irshaad mubarah hai:-' Jahannami(hasrat aur pachtawe ki wajah se) jahannum me itne aansu bahaayenge ki agar unme kashtiyan chalaayi jaayen to chalne lagen"


(haakim)


ek hadith me aap(sws) ne farmaya:-" jannat aur jahannum me chale jaane ke baad jab maut ko sabke saamne jibaah(halaaq) kar diya jaayega to jahannamiyon ko itna gham aur pachtawa paida hoga ki agar gham se marna mumkin hota to marr jaate"


(tirmizi)


qur'an majeed ki in aayat aur ahadith ke alfaazon se qayamat ke din ki naakaami par hasrat aur pachtaawe ki shakhti kisi khulase ki mohtaaj nahi.

Sawaal yah hai ki is hasrat aur pachtaawe se do chaar hone ka sabab kya hoga? Is duniya me koi bhi insaan apni zindagi ka keemti waqt, maal aur apni keemti cheez kisi aise kaam par kharch karne ke liye taiyyar nahi hota jisme use nakaami ka muh dekhna padhe, insaani fitrat is maamle me itna kamzor hain ki kabhi kabhi mamooli sadma sahan na kar sakne waale log suicide Tak kar guzarte hain, phir itne bade sadme(qayamat ka) se logon ke dochaar hone ki wajah kya hogi? Iska zikr bhi allah taala ne khud qur'an majeed me kar diya hai.

Iski wajah ye hongi,



" kaash! Maine rasool ki raah ikhtiyaar ki hoti, kaash! Main falan falan(gumrah shakhs) ko dost na banaya hota"


( surah furqan 27-28)



" kaash! Hamne allah aur uske rasool ke huqmo ko maana hota"


(surah ahzab 66)


" kaash! Main allah ki janaab me ghustakhiyan na karta( aur islami ahkaam) ka mazaak na udhata"


(az zumar 56)


" kaash! Ham acchi tarah sunte aur aql se kaam lete to aaj jahannamiyon me shamil na hote"


(surah mulk 10)


" kaash! Maine apni zindagi ke liye kuch aage bheja hota"

(surah fajar 24)


tamam ayaton ko jama kiya jaaye to iska matlab(summary) yah hogi ki qayamat ke din us dardnaak anjaam aur hasrat ki wajah sirf ek hi hoga " allah aur uske rasool ki nafarmani"


jahan tak kuffar, Mushrikeen, munafiq, aur murtadeen ke giroh ka talluq hai wah to hamesha hamesha ke liye jahannam me rahenge aur hamesha hamesha ke liye us hasrat aur pachtaawe ka shikaar rahenge ki kaash ham imaan le aate......


Lekin gaur farmaiye!

Un musalmano ki hasrat aur pachtaawe ka kya haal hoga jo imaan laakar bhi allah aur uske rasool ki nafarmani ka shikaar rahe, zara sochiye ki jab we apne haathon ko chaba chabakar kahenge:-" kaash! Ham qur'an majeed ki tilawat karte, namaze padhte, sadqa khairat karte, kaash! Ham sood(interest), rishwat, juba, zina, aur sharaab se door rahte,

kaash! Ham bure logon ko dost na banate,


zara sochiye un aurton ki jo apne haanth chaba chabakar kahengi:-" kaash ! Ham ghair mahram mardon se mel jol na rakhti, kaash! Ham apni khoobsoorti ki numaish na karti,

kaash! Ham nange libaas na pahanti


hasrat hi hasratein aur pachtawe hi pachtawe honge us din... Lekin afsos us din Ki hasrat aur pachtawe insaan ke kisi kaam nahi aayenge........