Wednesday, July 6, 2011

AURTON(WOMAN) KE SAATH KAISA SULOOK KIYA JAAYE?? (HADITH KI ROSHNI ME)

Bismillahirrahmanirraheem



kuch galtiyan aisi hoti hain jinko muqammal taur par khatm karna mumkin nahi hota, kyonki unka talluq kisi aadati(habitual) maamle se hota hai, albatta un galtiyon ko kam ya halqa kiya ja sakta hai, kyonki zyada baareek beeni ke natize me koi haadsa bhi pesh aa sakta hai, jaise ki aurat ka maamla hai, jiske baare me irshaad e nabwi(sws) hai:-


" aurat pasli(bone) se paida hui hai, wah kisi tarah bhi (muqammal taur par) seedhi nahi ho sakti, agar tu usse fayeda uthaana chahe to is tedh ki maujodagi me hi faayeda utha sakta hai, aur agar tu use seedha karne lagega to use todh baithega, iske tootne se muraad talaaq hai"


( sahih muslim kitabur rijaa, baab wsaah bin-nisa hadith 1468)

ek dusri riwayat me hai

" main tumko wasiyat karta hun ki aurton se bhalaayi karte rahna, kyonki aurton ki paidaish pasli se hui hai, aur pasli uper ki taraf zyada tedhi hoti hai, agar tu use Seedha karna chahega to todh daalega, aur agar rahne dega to tedhi hi rahegi, main tumko wasiyat karta hun ki aurton ke saath bhalaayi ke rahna"


( sahih bukhari, kitabun nikaah, baab wasah bin nisa, h 4890)


imam ibne hajar rh ne farmaya: "farmane nabwi sws ", aurton se bhalaayi karte rahna" me yah irshaad hai ki narmi se seedha kiya jaaye, usme na to itni shiddat barti jaaye ki tutne(talaaq) tak ki naubat pahunch jaaye, na use waise hi rahne de ki hamesha tedhi rahe..... Isse malum hota hai ki jab wah apne aadati(habitual) nuks se zyada tedhi ho jaaye yani kisi gunaah ko kare ya kisi farz ko tark kare to use itni tedh ki haamil nahi rahne dena chahiye, hadith ka matlab yah hai ki jayez kamon me uska tedh sahan na karen, is hadith se yah bhi malum hota hai ki dil rakhne ke liye logon se narmi ka sulook karna chahiye, usme aurton se bahtar sulooq ki hidayat bhi hai ki unki galtiyon ko maaf kiya jaaye Aur unki kazi par sabr kiya jaaye, jo jo shakhs unhe bilkul seedha karne ki koshish karega wah unse faayeda uthane se mahroom ho jaayega, haalanki insaan ko ek aurat ki zaroorat to hoti hai. Taaki usse faayeda haasil ho aur zindagi basar karne me uski madad haasil rahe, maano ki nabi(sws) yun farma rahe hain: " isse fayeda sirf isi soorat me uthaya ja sakta hai jab uski kotaahiyon par sabr kiya jaaye"


( fath ul bari 9/62)