Wednesday, July 27, 2011

BAHUT SE QALMAH PADHNE WAALE MUSHRIQ HOTE HAIN

Bismillahirrahmanirraheem



BAHUT SE QALMAH PADHNE WAALE MUSHRIK BHI HOTE HAIN:



Bahut se log qalmah padhne ke bawajood mushrik hote hai, isliye ki aap shirk kar rahe hai,


allah taala farmata hai:- " bahut se log allah par imaan laane ke bawajood bhi mushrik hote hai"


(surah yousuf 106)


" jo log imaan laaye aur unhone apne imaan ko zulm ke saath shaamil nahi kiya, unhi ke liye aman hai aur wahi hidayat par hain"


(surah nahal 83)


jab yah ayat utri to sahaba kiram(ra) bahut ghabraaye ki hamme se aisa kaun hai jo zulm se bilkul mahfooz ho,


allah taala ne yah ayat naazil farmayi:- " beshak shirk zulm azeem hai"


(QURAN)


yani is ayat me zulm se matlab shirk hai


(sahih bukhari)


matlab yah huwa ki aman wa hidayat unke hisse me hai jo imaan laane ke baad shirk na kare aur kyonki aap qalmah go hone ke bawajood shirk karte hai, isliye nateeza saaf hai,



taqleed bidat hai, yah deen me izaafa Hai, deen me kahi beshi allah ka kaam hai kyonki aap ne taqleed ko daakhil fiddeen kiya, usko waajib karaar diya, isliye aap shirk kar rahe hain,


muqallideen ke yahan shariat shaazi hui hai, masle gade gaye, jaise..


1- chuha(rat) kuwe(well) me gir jaaye to itne dol paani nikaalo.


2- ek dirham se kam nijasat galeeza maaf hai, namaz ho jaayegi.


3- shaher waale namaz e eid se pahle is tarah qurbani kar sakte hain ki jaanwar ko shaher ke baahar le jaakar jibaah kar den etc etc


kyonki muqallideen ise waajibut-taameel maante hain,

is tarah muqallideen shirk kar rahe hain,


aap log ahadith sahiha ke khilaaf apne mazhab ko maante hai, jaise hadith hai ki jo shakhs subah ki namaz ki ek rakat aaftaab hone se pahle paa le use namaz mil gayi


(sahih bukhari)


lekin muqallideen ke mazhab me hai ki wah namaz nahi hui, isse bada shirk aur kufr kya hoga?? Is tarah ke be shumar masail hain


is mauju me Baatein paida hui hai, un sab baaton par barelwion, mirzaiyyon, raafziyon , munkar e hadith aur saare jhoote giroh ki sahmati hai..... To kya ye musalmaan hain??



AHLE HADITH KO FIRQA(GROUP) NAHI HAI:



Ahle hadith koi giroh nahi hai, na is giroh ka koi leader hai, na imaan ne is giroh ki koyi khaas kitaaben likhi hain, unki kitaabein wahi hain jo deen ki asal hain, yani qur'an wa hadith, imam wahi hai jisko allah ne imam banaya yani hazrat muhammad rasoollullah sallallaho alaihi wasallam ko, allah ke banaaye hue imaam ke farman ki maujoodagi me dusre ko imaam banana aur unki taqleed karna yah bhi shirk hai, logon ke liye imam banana allah ka kaam hai na ki bandon ka


NOTE: Yahan imam se muraad deeni rahnuma hai na ki khalifa ya aalim)


qur'an wa hadith ko maanne waale hamesha se hain, shuru daur me ahle hadith ki tadaad zyada thi aur risaalat daur me bhi sirf yahi they.....


Koi ahle hadith nafs Ki safaai ka inkaar nahi karta, wah logon ke man gadant soofiyaana wa tariqat ka inkaar karta hai........