Sunday, July 3, 2011

WAHABI,NAJDI KA LAQAB KYON???

Bismillahirrahmanirrahim




Ahle hadith apni aqal k binas par maanne waale hain we kisi k muqallid nahi hai phir unhe kisi buzurg abdul wahab sahab ki taraf zabardasti jodkar wahabi kahna aqal wa imaandari k khilaaf hai aise hi najad me rahne waale kisi buzurg ki taraf zodkar ahle hadith ko giri hui nazar se najdi kahna bhi munasib nahi hai zara soche ki hz imam abu hanifa rh koofa ke rahne waale they kya abu hanifa rh k muqallid koofi hai? Nahi! Jab muqallid koofi nahi ho sakte to jo kisi imam k muqallid nahi we kis tarah najdi ho sakte hain suniye nabi kareem sws ne farmaya

" main tum me do cheezein chhod chala hun jab tak tum in dono ko mazbooti se thaame rahoge kabhi gumrah na hoge we(do cheezen) allah ki kitaab aur uske rasool ki sunnat hai"

( mishqaat)


rasool ke is farmaan ke mutabik ahle hadith ne huzoor ki chhodi hui do cheezon ko mazbooti se thaam liya yani qur'an wa hadith ko apna Mazhab liya hai, phir qur'an wa hadith ka mazhab rakhne waalon ko be deen kahna kya imaandari hai?

Hz sheikh jilani ne sach farmaya:-" sunnat aur hadith par amal karne walon k saare ulte seedhe naamon se pukaara jaata hai, tohmaten wa jhoot sab jalan wa nafrat ki wajah se hai ummeed hai ki shah jilani rh k samman karne wala koi shareef hanfi ab ahle hadith ko wahabi, najdi, ya be deen jaise namon se nahi pukaarega balki muhabbat se ahle hadith kahega, balki nabi(sws) ki muhabbat me khud bhi ahle hadith kahlayega,

hanafi bhaiyon! Phir suno hz sheikh qadir jilani rh farmate hain ki:-" sunnat aur hadith par amal karne walon ka koi naam nahi, siwaaye ek naam ke aur wah naam ahle hadith hai"

(gunyatuttalibeen)


" aur jab kaha jaata hai unko aao us cheez ki taraf jo utari hai allah ne aur (aao) rasool ki taraf (to) kahte hain kaafi hai hamko jo kuch ki paaya hamne us par apne baapon ko"


(para7ruku4)


zara dekhiye! Makka ke mushrik aise andhe jaamid muqallid they ki jab behayayi k kaam karte they or unhe toka jaata tha to kahte they ki ye kaam hamare baap dada karte they isliye ham karte hain, phir kaha jaata hai yah behayayi ka kaam hai phir kahte-

hamen khuda ne huqm diya hai jab poocha jaata hai ki khuda ka huqm dikhaao to jawaab dete ki hamare baap daada koi bewakoof they ki bina khud k huqm k karte they, yah hai makka k jaamid muqallidon ka jawaab, isse saabit huwa ki wah khuda wa rasool ke huqmo ke muqaable me taqleed karte they yah taqleed haraam hai koi bhi isko maanne waala nahi is taqleed me aisi hi taqleed ka difa kiya gaya hai,


musalman bhaiyon! Socho ki aaj bhi qur'an aur hadith pesh kiya jaata hai to jo log yah kahte hain ki ham muqallid hain hamare liye apne buzurgon ka tareeqa imam ka farman kaafi hai hamare baap daada jis mazhab par they ham bhi usi par hain phir khule Taur par hadith ke khilaaf ummati ka farmaan le lete hain aur hadith chhod dete hain kya ya qalmah padhne waale is ayat ke tahat nahi aate?

Is shart par imam ke maslak par chalna ki agar koi farman imam ka hadith ke khilaaf ho to farman chhodkar hadith ko le lunga sahi raah hai lekin aisi jaamid aur andhi taqleed ki muqallid ke aage aayat padho hadith padho aur dono ka translation bhi dikha do wah apni aankho se padh bhi le phir bhi is aayat, hadith ke khilaaf aqeeda wa amal na chode aur kahe ki main buzurgon ke aqeede aur amal ko nahi chhod sakta,

kahiye kya aise log qayamat ke din sirf isliye chhod diye jaayege ki we zabaani qalmah padhte they nabi kareem sws ki hadith ko hatakar apne baap daada ke tareeqon aur farman ko apnane wale isliye na pooche jaayege ki ummate rasool kahlate they?

Kabhi nahi aisa nahi ho sakta we zaroor pooche jaayenge.....


Koi shakhs yah na soche ki in ayaton me to To kaafiron aur mushrikon ki jaamid taqleed ka bayan hai aur ham to musalman hain, hamen in ayaton se kiya lena dena, jawab yah hai ki agar jhoot bolna kaafiron ke liye mana tha to hamare liye bhi mana hai, shirk wa kufr, wayeda ko todna, chori, zina, etc unke liye haraam tha to hamare liye bhi haraam hai, aise hi we log apne baap daada ke liye be sanad farman aur biraadari ke taur tareeqon ko deen ka naam dekar pesh karte they khuda ne mana kiya ki aisa na karo, khuda ki sanad ke mutabik amal karo aise hi hamare liye bhi in ayaton ki roshni me zaroori ho gaya hai ki ham biraadari ke riwaazon , rasmo, apne baap dada ki be sanad baaton aur imamon ke be sanad farmanon par deen ke naam se amal na karen, jab qur'an wa hadith ki roshni me daleel se amal karen, is warning se koi yah na samjhe ki ham charon imamon ke maanne walon ke khilaaf hain, nahi, aisa bilkul nahi, balki ham khud chaaron imamon aur unke Siwa aur bahut se imamon ko maante hain aur unke liye khuda se rahmat talab karte hain, in ummat ke charagon ke ilm wa ijtehad se fayeda uthate hai, haan! Agar koi baat in paak hastiyon ki kitaab wa sunnat se takraaye to wah chhod dete hain, kyonki in par wahiy nahi aayi thi to inke maslak, par jo log quran wa hadith ki roshni se amal karte hain we haq par hain.