Friday, July 15, 2011

MAQROOH ROZON KA BAYAN

Bismillahirrahmanirraheem



MAQROOH ROZON KA BAYAN:


MAQROOH ROZE KAUN SE HAIN?



1- Maidaan e Arfa me waqoof karne waalon( yani haaji) ke liye yaum e arfa ka roza najayaz hai, isliye ki aap(sws) ne arfa waalon ke liye roza haraam karaar diya hai

(abu dawood)


2- sirf jumah ke din roza rakhna bhi sahih nahi, isliye ki aap(sws) ka farman hai:-" juma ka din tumhare liye eid hai us din roza na rakho, ya yah ki ek din pahle ya baad ka uske saath roza rakho"


(bazzar)


3- sirf hafta ke din roza rakhna bhi theek nahi isliye ki aap(sws) ka farmaan hai:-" hafta ke din farz roza ke elawa koi roza na rakho, agar is din khaane ko kuch na mile to agar angoor ka chilka ya ped(tree) ki lakdi ki chaba lo"


(tirmizi)


4- shaaban ke aakhiri dino me bhi roze ki karahat hai, isliye ki aap(sws) ka farman hai:-

" jab shabaan aadha ho jaaye to roze na rakho"

(ashab e sunan wa sahih ibne hibban)



Note: uper likhe Dino me roze rakhna makrooh tanjeehi hai aur neeche diye gaye dinon me roze rakhna maqrooh tahreemi hai:



1- "wisaal ke roze" yani do din ya zyada din bina iftaar kiye lagataar roze rakhna, isliye ki aap(sws) ka huqm hai:-" bina iftaar kiye lagataar roze na rakho"

(bukhari)

aur farmaya


" apne aapko bila iftaar roze rakhne se bachaao"

(bukhari wa muslim)


2- shabaan ki 30 tareekh ko shak ka roza rakhna bhi najayez hai, isliye ki aap(sws) ka huqm hai:--" jo shaq ke din roza rakhe usne abul qaasim(aap sws) ki nafarmani ki"

( bukhari,muslim)


3- "saara saal roze" yani kisi bhi din iftaar kiye bina poora roze rakhna bhi isi qabeel se hai ki aap(sws) ka farmaan hai:- " jisne hamesha roza rakha usne koi roza na rakha"

(muslim)

4- shauhar ki maujoodgi me biwi ka bila izazat roza rakhna bhi haraam hai, aap (sws) ka farman hai:-" ramzan ke elawa aurat apne shauhar ki maujoodgi me uski izazat ke bina ek din bhi roza na rakhe"


( bukhari,muslim)