Sunday, July 17, 2011

TALIMAAT-E-NABWI (PART 2)

Bismillahirrehmanirraheem



hz hamid bin abi hamid tuwail (rh) se riwayat hai ki unhone hz anas bin malik (ra) se hadith suni, unhone farmaya: 3 aadmi ummuhatul momineen (ra) ki khidmat me haazir hue, aur unhone(parde ke peeche se) nabi akram(sws) ki nafl ibadat ke muttalik sawal kiya, jab unhe bataya gaya ki( aap sws is andaz se ibadat karte hain) to unhone mahsus kiya ki yah ibadat thodi hai, phir unhone kaha: hamara aap(sws) se kya muqabla? Unke to agle pichle gunah maaf ho chuke hain( wah to agar zyada ibadat na bhi karen to koi baat nahi, hame to bahut zyada mahnat karne ki zarurat hai, unme se ek bola: main hamesha namaz(tahajjud) padha karunga; dusre ne kaha: main hamesha roza rakhunga, kisi din naaga nahi karunga; teesre ne kaha: main aurton se alag rahunga, kabhi nikaah nahi karunga; (jab aap(sws) ko in baaton ka ilm huwa to) aap(sws) unke paas tashrif le gaye aur farmaya:

" tum logon ne ye ye Baatein ki hai? Allah ki qasam! Main tum sabse zyada khauf e khuda aur taqwa rakhta hun, lekin main(nafli) roze bhi rakhta hun aur chhod ta bhi hun, (raat ko) namaz(tahajjud) bhi padhta hun aur sota bhi hun, aur maine nikaah bhi kiye hain"

(sahih bukhari, kitabunnikah h4774)(sahih muslim, kitabun nikaah, h 1401)



hz sahal bin saad sa'adi (ra) se riwayat hai ki unhone farmaya: janab rasoollullah(sws) ke paas se ek shakhs guzra, nabi(sws) ne apne paas baithe hue ek sahabi se farmaya:-" is shakhs ke baare me tumhari kya raaye hai?" unhone arz kiya:-" yah to khaas(ameer) logon me se hai, allah ki kasam! Yah to aisa aadmi hai ki agar kisi se rishta maange to usse nikaah kar diya jaayega(har shakhs khushi se rishta dene ke liye taiyyar ho jaayega), agar shifaarish kare to iski shifarish qubool ki jaayegi", janab rasoollullah(sws) khamosh ho gaye, thodi der baad ek aur aadmi guzra, aap(sws) ne farmaya:-" is Shakhs ke baare me aapki kya raaye hai?" unhone arz kiya:-" ya rasoollullah! Ya to muflis(gareeb) musalmano me se ek (aam sa) aadmi hai, yah to agar kisi se rishta maange to iska nikah nahi hoga. Agar shifarish kare to iski shifaarish qubool na ho, agar baat kare to koi iski baat na sune," allah ke rasool ne farmaya:-" us( daulat mand) jaise aadmiyon se poori zameen bhari hui ho to unse yah (muflis musalman) bahtar hai";


(sahih bukhari, kitabur riqaaq, bab faz lul fakhr, h 6447) (sunan ibne maja h 4120)



"hz abdullah bin masud ra farmate hai ki aap(sws) ne (ek baar) namaz padhi, jab salaam fhera to aapse arz kiya, aiy rasoollullah! Kya namaz me ko baad paida ho gayi hai? Farmaya wah kya? Arz kiya aapne itni rakatein padhi hain(yani zyada ya kam), aapne fauran apne kadam mode, qible ki tarah muh kiya, do sazde kiye aur salaam pher diya, jab hamari taraf muh kiya to farmaya, agar namaz me koi nayi baat hoti to main tumko bata deta, lekin main tumhari tarah insaan hun, jis tarah tumse bhool ho jaati hai mujh se bhi ho jaati hai, agar main bhool jaaya karun to mujhe yaad dila diya karo, agar tum me se kisi ko apni namaz me shak ho jaaya kare, to chahiye amure haq ki sahi baat soche aur usi ke mutabik(namaz) puri kare, phir salaam fher de aur sazde kare"


(sahih bukhari, kitabus salat ch:8 h:394)



HAJJ-E-TAMATTU



Hz marwan bin hakam riwayat karte hain ki:-" maine dekha hz usman(ra) logon ko hajj e tamattu se mana karte they, hz ali(ra) ne jab yah dekha to hajj wa umra(dono, sath ehram baandha) aur kaha, labbaik li umara wal hajj, phir farmaya, muhammad sallallaho alaihi wasallam ki sunnat ko kisi ke kahne se nahi chhodunga"


(sahih bukhari v2 ch26 hadith 634)