Monday, July 11, 2011

TAQLEED PAR AITRAAZ KA JAWAB

Bismillahirrehmanirraheem


AHLE HADITH KA TAQLEED PAR AITRAAZ KYON!!



taqleed ki definition aapko baata den taaki unhe pata chal jaaye ki taqleed kya hai, iski definition ham fiqh ki kitabon se bayan karte hain zara dhyan se padhe--

" muqallid ki daleel uske mujtahid(imam) ka farman hai na wah khud tahqeeq kar sakta hai aur na apne imam ki tahqeeq par ghaur kar sakta hai"

(muslim al saboot mujtibaai)


iska matlab yah ki muqallid jis imam ki taqleed kar raha hai wah sirf us imam ke farman hi par chale use yah haq nahi ki imam ke farman ki tahqeeq kare, daleel maange, tahqeeq karna ya daaleel maangna taqleed ko tod deta hai, ghair muqallid bana deta hai, aankhen band karke summun bukmun hokar imam ke farmano par imaan laaye aur amal karta jaaye


" taqleed kahte hai gair nabi(imam,mujtahid) ke farman ko bina daleel ke maan lena"


(jamul jame part 2)





"halaal balki wajib hai fatawa dena imam ke farman par jabki iska ilm na ho ki imam ne kahan se kaha hai"

(shami part 1)



yani sirf imam ke farman se fatwa waajib hai is baat ki zaroorat nahi ki pata kare ki imam apne farman par kya daleel rakhta hai muqallid ko daleel talaash nahi karni chahiye sirf imam ka farman hi uske liye kaafi hai,


" us shakhs par hamare rabb ki lanatein ret(sand) ke zarra(atom) jitni utre jo hz imam abu hanifa ka farman radd kar deta hai ya nahi maanta hai"


(shami)


kahan jaayen imam sb ke shargird imam muhammad yusuf aur imam shafai, imam malik aur imam ahmad bin hambal jinhone bahut se maslon me ikhtelaaf kiya hai auq imam ke farman ko radd kiya hai..


Samjh aayi aapko taqleed ki, aankhen band karke bina tahqeeq ke jo shakhs imam abu hanifa ki baat na maane us par reit ke zarre ke barabar khuda ki laanatein utre aur agar koi kahe ki hz imam abu hanifa ka falan farman Hadith ke khilaaf hai, kya karun to taqleed ka taqaaza hai ki hz imam ke farman ki tahqeeq hi na karni chahiye khamosh hokar maan lo, agar na maana to laanaton ki baarish hogi, yah hai taqleed!!


Hz mulla ali qaari rh irshad farmate hain--" gair nabi(imam) ke farman ko bina daleel maanna taqleed hai"

(sharah qaseeda amaali)


"muqallid ki daleel sirf uske imam ka farman hi hai muqallid sirf yahi kahe ki masle ka huqm yahi hai kyonki mere hz imam abu hanifa ki raaye yahi hai aur jo raaye mere imam ki ho mere nazdeek sahih hai"


( tozeehi talweeh)


yah hai taqleed ki jis imam ki taqleed kar rakhi hai muqallid saari zindagi sirf usi raaye par chale aur uski raaye ko hi masla jaane, deen ka huqm samjh kar amal kare aur yah khyal na laaye ki uski raaye ka source ya saboot kya hai yah khyaal taqleed ka hi asar hai ki hanafi bhaiyyon ko hadith sunaao to dhyaan nahi dete farmaano par adhe rahte hai, khuda Inhe samjh de ki ye farmanon ke muqaable me hadith par jaan chidken hadith ke mutabik fiqh ko maane aur hadith ke khilaaf farmano ko chhod den.


" imam ka farman muqallid ki daleel hai"

(tozeehi)


yani imam ne jo kah diya muqallid ke liye wahi daleel hai na quran ki zaroorat hai na hadith ki, jabki sharai daleel quran wa hadith hai lekin muqallid ko imam ka farman mil gaya uske liye wahi daleel hai yah hai taqleed!


Bhaiyyon zara socho , daleel to sirf allah or rasool ka farman hi ho sakta hai kisi ummati ka farman deen me daleel nahi ban sakta or agr koi kahe ki mujtahid ka ijtihad bhi maanne k qabil hai to jawab yah hai ki ijtihad wahan hota hai jahan ayat ya hadith se masla na mile or ayat wa hadith ki maujudgi me ijtihad ki zarurat hi nhi hai


" na koi fatawa diya jaaye or nahi(deen) par amal kiya jaye magar sirf hz imam azam k farman par"

(dur e mukhtar part 1)


Kyonki muqallid par zaroori hai ki wah muqallid hone ke naate imam ki raaye par amal kare aur ulema muqallid bhi sirf imam azam ke farman par fatawa den kyonki in muqallidon ke nazdeek imam ka farman hi daleel hai, qur'an wa hadith se chutti hui,


yah hai taqleed ki definition jisme quran hadith, aqal wa soch ki roshni tak nazar nahi aati,ab aap aachi tarah samjh gaye honge ki taqleed naam hai gair nabi ki baaton ko bina daleel sharah(quran,hadith) taur par maan lene ka,



NOTE: Nabi ka farman wa amal khud daleel hota hai jise bina chu chara k maan lene ka huqm hai, nabi k elawa har shakhs k farman ko maanne k liye daleel(quran o sunnat) ki zarurat hai, muqallid apne imam k farman ko bina daleel manta hai jab us k farman ko hadith k khilaf jaan kar maan to use nabi ki haisiyat de di, fiqh ki kitabon me taqleed ke mayne yun likhi hai-" Gair nabi(imam) ke farman ko bina daleel maan lena, phir nabi aur gair nabi me farq kya raha?" yah us mutaassib aur ziddi muqallid ka bayan hai jo hadith ke muqaable jaan bhoojhkar taqleed karta hai, hadith chodhkar farman ko leta hai is baat par zidd karta hai agar farman hadith ke khilaaf saabit huwa to farman ko chhodkar hadith ko sar aankhon par rakhle to yah taqleed kisi tarah ke ikhtelaaf ki wajah nahi hai......